एक बार वो आँखों में यूँ भरकर मुझे देखे,
जैसे के मैं क़तरा हूँ समंदर मुझे देखे
मैं उसके लिए कौन हूँ, पूछे न ज़माना,
सब मेरी ख़मोशी को ही पढ़कर मुझे देखे।
वो ओस की तरह मेरी पलकों पे ठहरकर
फिर फूल की मानिंद वो छूकर मुझे देखे।
क्या ख़ूब हो उस रात का आलम कि वो महबूब,
तारों की तरह छत पे ठहरकर मुझे देखे।
वो ख़्वाब में आए तो कोई ख़्वाब न टूटे,
मैं आँख भी खोलूं तो बराबर मुझे देखे।
क्या ख़ूब हो वो रात कि महफ़िल में अचानक,
वो सब से छुपे और वो छुपकर मुझे देखे।
किस दर्जा है शोले मेरी इस ख़ाक़ ए बदन में,
एक बार सही, पास तो आकर मुझे देखे।
मैं रिंद-ए-मोहब्बत हूँ, मुझे ज़ाम न दे वो,
बस आँख से आँखों में उतरकर मुझे देखे।
मैं ख़ाक सही, ख़ाक में ताबीर-ए-चमन हूँ,
वो फ़स्ल-ए-बहारा में उतरकर मुझे देखे।
जब शाम ढले, चाँद निकल आए फ़लक पर,
वो याद करे मुझको ठहरकर मुझे देखे।
दरिया की तरह आँख में रखता हूँ तड़प मैं,
वो साहिल-ए-बे-मेहर से बढ़कर मुझे देखे।
कुछ राज़ हैं सीने में कि अफ़्शा नहीं होते,
वो राज़ मेरी आँखों के पढ़कर मुझे देखे।
हर ज़ख़्म को सीने में छुपा रखा है मैंने,
वो चाक-ए-जिगर देखे तो छूकर मुझे देखे।
‘तनहा’ मैं रहूँ ख़ाक, मगर इतना करम हो,
वो ख़ाक-ए-दर-ए-यार समझकर मुझे देखे।
ایک بار وہ آنکھوں میں یوں بھر کر مجھے دیکھے،
جیسے کہ میں قطرہ ہوں، سمندر مجھے دیکھے۔
میں اُس کے لیے کون ہوں، پوچھے نہ زمانہ،
سب میری خموشی کو ہی پڑھ کر مجھے دیکھے۔
وہ اوس کی طرح میری پلکوں پہ ٹھہر کر،
پھر پھول کی مانند وہ چھو کر مجھے دیکھے۔
کیا خوب ہو اُس رات کا عالم کہ وہ محبوب،
تاروں کی طرح چھت پہ ٹھہر کر مجھے دیکھے۔
وہ خواب میں آئے تو کوئی خواب نہ ٹوٹے،
میں آنکھ بھی کھولوں تو برابر مجھے دیکھے۔
کیا خوب ہو وہ رات کہ محفل میں اچانک،
وہ سب سے چھپے اور وہ چھپ کر مجھے دیکھے۔
کس درجہ ہیں شعلے مری اس خاکِ بدن میں،
ایک بار سہی، پاس تو آ کر مجھے دیکھے۔
میں رندِ محبت ہوں، مجھے جام نہ دے وہ،
بس آنکھ سے آنکھوں میں اتر کر مجھے دیکھے۔
میں خاک سہی، خاک میں تعبیرِ چمن ہوں،
وہ فصلِ بہارا میں اتر کر مجھے دیکھے۔
جب شام ڈھلے، چاند نکل آئے فلک پر،
وہ یاد کرے مجھ کو، ٹھہر کر مجھے دیکھے۔
دریا کی طرح آنکھ میں رکھتا ہوں تڑپ میں،
وہ ساحلِ بے مہر سے بڑھ کر مجھے دیکھے۔
کچھ راز ہیں سینے میں کہ افشا نہیں ہوتے،
وہ راز مری آنکھوں کے پڑھ کر مجھے دیکھے۔
ہر زخم کو سینے میں چھپا رکھا ہے میں نے،
وہ چاکِ جگر دیکھے تو چھو کر مجھے دیکھے۔
’تنہا‘ میں رہوں خاک، مگر اتنا کرم ہو،
وہ خاکِ درِ یار سمجھ کر مجھے دیکھے۔
Ek baar woh aankhon mein yun bharkar mujhe dekhe,
Jaise ke main qatra hoon, samandar mujhe dekhe.
Main uske liye kaun hoon, poochhe na zamana,
Sab meri khamoshi ko hi padhkar mujhe dekhe.
Woh os ki tarah meri palkon pe thaharkar,
Phir phool ki maanind woh chhookar mujhe dekhe.
Kya khoob ho us raat ka aalam ki woh mehboob,
Taaron ki tarah chhat pe thaharkar mujhe dekhe.
Woh khwab mein aaye to koi khwab na toote,
Main aankh bhi kholoon to barabar mujhe dekhe.
Kya khoob ho woh raat ki mehfil mein achanak,
Woh sab se chhupe aur woh chhupkar mujhe dekhe.
Kis darja hain shole meri is khaak-e-badan mein,
Ek baar sahi, paas to aakar mujhe dekhe.
Main rind-e-mohabbat hoon, mujhe jaam na de woh,
Bas aankh se aankhon mein utarkar mujhe dekhe.
Main khaak sahi, khaak mein taabeer-e-chaman hoon,
Woh fasl-e-bahara mein utarkar mujhe dekhe.
Jab shaam dhale, chaand nikal aaye falak par,
Woh yaad kare mujhko, thaharkar mujhe dekhe.
Dariya ki tarah aankh mein rakhta hoon tadap main,
Woh saahil-e-be-mehr se badhkar mujhe dekhe.
Kuch raaz hain seene mein ki afsha nahin hote,
Woh raaz meri aankhon ke padhkar mujhe dekhe.
Har zakhm ko seene mein chhupa rakha hai maine,
Woh chaak-e-jigar dekhe to chhookar mujhe dekhe.
‘Tanha’ main rahoon khaak, magar itna karam ho,
Woh khaak-e-dar-e-yaar samajhkar mujhe dekhe.
Ghazal ke baare mein
Yeh ghazal mohabbat, intezar, khamoshi aur mehboob ki ek nazar ki tamanna ke ehsaas ko bayaan karti hai. Ismein aashiq ki woh kaifiyat hai jahan mehboob ka sirf dekh lena bhi ek mukammal mulaqat ban jaata hai.
Shayar: Tariq Azeem Tanha
Genre: Urdu Ghazal / Romantic Ghazal / Ishqiya Shayari
Language: Urdu-Hindustani
Theme: Mohabbat, Ishq, Mehboob, Intezaar, Khamoshi, Aarzoo
SEO Keywords:
Urdu Ghazal, Urdu Shayari, Romantic Urdu Shayari, Mohabbat Shayari, Ishq Shayari, Love Shayari in Urdu, Urdu Ghazal in Roman Urdu, Best Urdu Ghazal, New Urdu Ghazal, Heart Touching Shayari, Romantic Ghazal, Ishqiya Ghazal, Mehboob Shayari, Aashiq Shayari, Urdu Poetry, Roman Urdu Poetry, Urdu Love Poetry, Hindi Urdu Shayari, Tariq Azeem Tanha Shayari.
Hashtags
#UrduGhazal #UrduShayari #UrduPoetry #RomanUrdu #MohabbatShayari #IshqShayari #LoveShayari #RomanticShayari #Ghazal #IshqiyaShayari #Mehboob #HeartTouchingShayari #UrduLovePoetry #HindiUrdu #TariqAzeemTanha
Comments
Post a Comment